Wednesday, January 26, 2011

dosti

Dosti Ek Ahesas Hai Muhabbaton Ka
Dosti Ek Jazba Hai Shahadaton Ka
Dosti Har Gaam Sath Chala Karti Hai
Dosti Saye Ke Manind Howa Karti Hai
Dosti Dukh Bhare Jazbat Ka Hissa Hai
Dosti Qushion Ke Lamhat Ka Hissa Hai
Dosti Qurbani Ka Dosra Naam Hai
Dosti Iqlas Ka Anokha Paigham Hai
Dosti Subha Ki Hawaon Si Hoti Hai
Dosti Mahekti Fizaon Si Hoti Hai
Dosti Pholon Ki Qushbo Si Hoti Hai
Dosti Sapno Ki Ek Jado Si Hoti Hai
Dosti Doston Ki Wafaon Se Hoti Hai
Dosti Doston Ki Jafaon Se Hoti Hai
Dosti Amn Ka Qushion Ka Geet Hoti Hai
Dosti Kai Suron Ka Sangheet Hoti Hai
Dosti Sab Ko Piyaar Karna Sikhati Hai Apas Me
Dosti Ladna Aur Jhagadna Sikhati Hai Apas Me
Sare Doston Ko Bas Yehi Kahena Hai Danish
Dosti Ki Har Shaan Kabhi Kam Hone Na dena
Chahe Jaan Par Hi Kion Na Ajaye,Kuch Bhi Ho
Jazb-e-dosti Ko Kabhi Badnaam Na Hone Dena…

No comments:

Post a Comment